Posts

Zindagi

Desh badalte hai  Bhes badalte hai,  Jivan ke rangmanch me  Vesh badalte hai.  Gar sahas buland hai  To raste milte hai,  Sapno se bhare panchii ko  Udnaan ke pankh milte hai.  Yaha rishto ke mukhote hai  Sabki niyat chupa lete hai,  Ye zindagi hai saheb,  Har haal me guzarti hai. 

Kya hai jivan kya hai mrityu

Kya hai jivan ky hai mrityu Kaun yaha samjh pta hai Pal bhar ka hai sukh yaha Baki sab andhiyara hai Tez tez  badhta hai aage Piche pal hai yadon ka Ant  to uska hona hi hai Yahi to sach hai jivan ka Kaise rishte kaise nate Kya mol hai sampatti ka Ye bhi mera wo bhi mera Yahi jaal hai maya ka Dhere se badhata hai manav Yowan ki utarti kaya me Or hamesha ke liye so jata hai Mrityu ki un baho me.

Khayal

Dil me khayal aata hai kabhi ki tu itni bhi khubsurat nahi Ki aankho ko tujhe dekhne ki talab ho Fir bhi ye talab mujhe hoti hai Dil me khayal aata hai kabhi Ki Tujhme itni bhi mehak nahi Ki hawo me tera ehsaas ho Fir bhi ye ehsaas mujhe hota hai Dil me khayal aata hai kabhi Ki teri awaz me itni bhi kashish nahi Ki har pal tujhe sunna chahu Fir bhi ye chahat mujhe hoti hai Dil me khayal aata hai kabhi Ki teri aada me wo sadagi  nahi Ki mujhe tujhe dekhne ki khwahish  ho Fir bhi ye khwahish  mujhe hoti hai Dil me khayal aata hai kabhi Ki tujhse itni bhi mohabbat nahi Ki tujhe pane ke  liye tujhi ko tadpau Fir bhi ye tadap teri mujhe hoti hai

Shehar

Kehte Hai shehar me Bheed bahot hai, Sach to ye hai ki Log akele bahot hai . Har koi magan hai Apni hi dhun me yaha, Or log Kehte Hai Waqt ki kami bahot hai. Har kisi ko takliff hai Har koi hai pareshan, Fir bhi logo ko khushi Dikhane ki aadat bahot hai. U to shehar me bahot Ajanabi Anjan hai log, Fir bhi shehar ko sab ko Apna banane ki aadat bht hai.

Shiddat

Khub shiddat se mai, tujhe Yaad krti hu. Roz tere pyar me padti hu, Roz izhaar krti hu. Tu samne Aa jaye kabhi to, Nazare chura leti hu. Na ho paye kabhi didar to, Palke bichaye intezar krti hu. Bahot chubhati hai teri khamoshi, Teri awaz ko kaan taraste hai. Fir chachni me ghule lafz mere, Tujhse rubaru hote hai. Masrufiyat me bhaunh chadhana, Fursat me dil khol ke hasna. Tera har andaaz katil hai, Dil Chahata har pal tujhe dekhana. Teri khubsurat sadgi ne, Tujhe mere dil me basa diya hai. Tu jab jab hasta hai tab tab, Ye dil tujhse mohabbat krta hai. Khub shiddat se mai, tujhe Yaad krti hu. Roz tere pyar me padti hu, Roz izhaar krti hu.

Kuch Iss Tarah beeta zindagi ka safar

Kuch iss tarah beeta  zindagi ka safar, Kabhi maus the  Kabhi khamosh the.  Bahut kam diya mauka Hasne ka zindagi ne hme,  Magar uspe bhi dil khol ke  Hasne ka daar hua hme.  Mehsus har Waqt hame Kami is kadar unki hui,  Ke Waqt katata raha  Tanhai or bekarari me. Mohabbat ke sile khas the Unko pane ki chahat me,  Zara der haste the  zara der rote the.