Kya hai jivan kya hai mrityu

Kya hai jivan ky hai mrityu
Kaun yaha samjh pta hai
Pal bhar ka hai sukh yaha
Baki sab andhiyara hai

Tez tez  badhta hai aage
Piche pal hai yadon ka
Ant  to uska hona hi hai
Yahi to sach hai jivan ka

Kaise rishte kaise nate
Kya mol hai sampatti ka
Ye bhi mera wo bhi mera
Yahi jaal hai maya ka

Dhere se badhata hai manav
Yowan ki utarti kaya me
Or hamesha ke liye so jata hai
Mrityu ki un baho me.


Comments

Post a Comment